Jag Mein Sundar Hain Do Naam is a beautiful Hindu Devotional Bhajan song dedicated to Lord Ram and Lord Krishna. This Hindi bhajan song is sung by Sangeet Samrat Anoop Jhalota (Anup Jalota). Also known as Bolo Ram Bolo Shyam, the devotional song tells both Lord Rama and Lord Krishna are the same and praises the Lord for the great deeds they have done to humans.
Presenting the Lyrics of Jag Mein Sundar Hain Do Naam bhajan song for Ram Navami Festival or Ramanavami Utsav .
Jag Mein Sundar Hain Do Naam Lyrics – Lord Ram Bhajan Song
Jag Mein Sundar Hain Do Naam,Chaahe Krishna Kaho Ya Ram,
Bolo Ram, Ram, Ram,
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Makhan Brij Mein Ek Churaave,
Ek Ber Bhilni Ke Khaave,
Prembhav Se Bhare Anokhe,
Donon Ke Hain Kaam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Ek Hriday Mein Prem Badhaave,
Ek Taap Santap Mitaave,
Donon Sukh Ke Sagar Hain,
Aur Donon Pooran Kaam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Ek Kams Paapi Ko Maare,
Ek Dusht Ravan Samhare,
Donon Deen Ke Dukh Harat Hain,
Donon Bal Ke Dhaam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Ek Radhika Ke Sang Raaje,
Ek Janaki Sang Biraaje,
Chaahe Seetaram Kaho,
Ya Bolo Radheshyam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram
Jag Mein Sundar Hain Do Naam,
Chaahe Krishna Kaho Ya Ram,
Bolo Ram, Ram, Ram,
Bolo Shyam, Shyam, Shyam
Comments
Post a Comment